Yeh insaan nahi hai ... yeh toh machine hai ... aaisi machine joh sirf note chaapti hai aur note khaati hai
Vaade aksar toot jaate hai ... koshishien kamyab ho jaati hai
Tofha dene waale ki neeyat dekhi jaati hai ... tofhe ki keemat nahi dekhi jaati
Sharaabi ko sharaabi nahi toh kya pujari kahoge ... gehun ko gehun nahi toh kya jwari kahoge
Sharaab ki botal pe agar main label ki tarah chipak gaya hoon ... toh is label ko chipkane waale aap hai
Samundar mein tairne waale ... kuon aur talaabon mein dupkiyan nahi lagaya karte
Mooche ho to Nathulalji jaise ho ... warna na ho
Main ek kalakar hoon ... makkar nahi
Kalakar sirf taarif ka bhooka hota hai ... paise ka nahi
Jisne pee nahi whiskey ... kismat phoot gayi uski
Jinka apna dil toota hota hai ... woh auron ka dil nahi todha karte
Jigar ka dard upar se kahin malum hota hai? ... ki jigar dard upar se nahin malum hota hai
Inki taarif kya karen ... yeh toh sarr se paun tak taarif hi taarif hai
Hamari zindagi ka tambu teen bambuon pe khada hua hai ... shayari, sharaab aur aap
Duniya ke samne haath nahi jodhte ... warna kaam nikal jaane ke baad duniya waale haath todh dete hai
Dar badar sarr patakne se bhala kya hoga ... wahi hoga joh taqdeer mein likha hoga
Aapne mujhe woh sab diya jise bazar se khareed ke ek ghar mein sajaya ja sakta hai ... magar woh sukh kabhi nahi diya jise ek dil mein sajaya ja sake
Aap bhi itna samajh le mujhko samjhane ke baad ... aadmi majboor ho jaata hai dil aane ke baad
Aaj ki duniya mein agar zinda rehna hai ... toh duniya ke button apne haath mein rakhne parte hai
Aaj kal ke daud mein hasi ki phasal ughti kahan hai
Aaj itni bhi maisir nahi mainkhane mein ... jitni hum chod diya karte the paimane mein